Saeed Ahmad Akhtar

but kya hain bashar kya hai ye sab silsila kya hai

Saeed Ahmad Akhtar

Pishin, Balochistan, Pakistan

1932-2013
but kyā haiñ bashar kyā hai ye sab silsila kyā hai
phir maiñ huuñ mirā dil he mirī ġhār-e-hirā hai
jo āñkhoñ ke aage hai yaqīñ hai ki gumāñ hai
jo āñkhoñ se ojhal hai ḳhalā hai ki ḳhudā hai
taare mirī qismat haiñ ki jalte hue patthar
duniyā mirī jannat hai ki shaitāñ kī sazā hai
dil dushman-e-jāñ hai to ḳhirad qātil-e-īmāñ
ye kaisī balāoñ ko mujhe sauñp diyā hai
sunte raheñ ārām se har jhuuT to ḳhush haiñ
aur Tok deñ bhūle se to kahte haiñ burā hai
shaitān bhī rahtā hai mire dil meñ ḳhudā bhī
ab aap kahīñ dil kī sadā kis kī sadā hai
'aḳhtar' na karo un se gilā jaur-o-jafā kā
apnī bhī ḳhudā jaane havas hai ki vafā hai
Top Urdushayar.com