Ameen Saloni

murid-e-dair-o-haram kam-se-kam ye kaam karen

Ameen Saloni

murīd-e-dair-o-haram kam-se-kam ye kaam kareñ
hadīs-e-dard-e-mohabbat kā zauq aam kareñ
yahī minnat-e-ārām ye muqaddar hai
ġhamoñ kī dhuup meñ rāhat kā ehtimām kareñ
abhī na deñ hameñ ilzām bevafā.ī kā
ḳhud apne va.adoñ kā kahiye vo ehtirām kareñ
jo tishna-kām tire mai-kade meñ hoñ saaqī
mire lahūñ se vo labrez apne jaam kareñ
abhī na jeb na dāman na āstīñ kā pata
yaqīn-e-mausam-e-gul ho to intizām kareñ
unhīñ ke lab pe hai amn-o-amīñ kā afsāna
vahī jo hazrat-e-insāñ kā qatl-e-ām kareñ
gumāñ se ahd-e-yaqīñ tak sukūñ kī ho duniyā
ḳhushī ke saath jo ġham kā bhī ehtimām kareñ
mazāq-e-ahl-e-gulistāñ jo saath de jaa.e
qafas-nasīboñ kī yādoñ kā ehtirām kareñ
ye daur-e-hashr nahīñ hai to aur kyā hai 'amīñ'
kise pukāreñ yahāñ kis ko ham-kalām kareñ
Top Urdushayar.com