Raees Baghi

jun bhi jo rengne nahin deti thi kan par

Raees Baghi

juuñ bhī jo reñgne nahīñ detī thī kaan par
kālak lagā ke chhoḌ ga.ī ḳhāndān par
maa.il haiñ zehn-o-fikr jo ūñchī uḌaan par
yuuñ paañv haiñ zamīñ pe nazar āsmān par
ārām se haiñ ūñchī imārāt ke makīñ
patthar baras rahe haiñ shikasta-makān par
arzāñ-farosh par nahīñ uThtī nazar koī
rahtī hai bhiiḌ shahr kī mahñgī dukān par
jaise badan meñ jaan hī baaqī nahīñ rahī
mahsūs ho rahā hai safar kī takān par
biphre samundaroñ pe barastā chalā gayā
aayā na abr dhuup meñ tapte makān par
dil reza reza hai to jigar hai lahū lahū
kaisī banī huī hai mohabbat kī jaan par
haañ rahravo milegī tumheñ manzil-e-hayāt
chalte raho hamāre qadam ke nishān par
ḳhuddarī-e-jamāl gavārā na kar sakī
us ne masal ke pheñk diyā phuul lawn par
Top Urdushayar.com