gulshan gulshan sho.ala-e-gul kī zulf-e-sabā kī baat chalī
harf-e-junūñ kī bañd-e-girāñ kī jurm-o-sazā kī baat chalī
zindāñ zindāñ shor-e-junūñ hai mausam-e-gul ke aane se
mahfil mahfil ab ke baras arbāb-e-vafā kī baat chalī
ahd-e-sitam hai dekheñ ham āshufta-saroñ par kyā guzre
shahr meñ us ke band-e-qabā kī rañg-e-hinā kī baat chalī
ek ho dīvāna ik ne sar teshe se phoḌ liyā
kaise kaise log the jin se rasm-e-vafā kī baat chalī
TuuT ga.iiñ naġhmoñ kī tanābeñ sher ke ḳheme raakh hue
bazm-e-suḳhan meñ jab bhī 'salīm' is sho.ala-navā kī baat chalī