kū-ba-kū kab se hai ik sarsar-e-ġham āvāra
ab kidhar jaa.eñ tire shahr meñ ham āvāra
kyā faqīhān-e-haram ko ye ḳhabar hai yaaro
ham ko rakhte haiñ ġhazālān-e-haram āvāra
surḳh-rū ahd-e-vafā se na huā ho farhād
bū-e-ḳhūñ hai jo sar-e-ḳhalvat-e-jam āvāra
ham chale aa.e to but-ḳhāne par kyā kyā guzrī
barahman sar-ba-garebāñ hai sanam āvāra
sar-nigūñ haiñ mire fitrāk-e-ġhazal meñ vo ġhazāl
jin ko rakhtī thī kabhī lazzat-e-ram āvāra
surḳhī-e-ḳhār-e-muġhīlāñ kabhī aisī to na thī
aaj guzre haiñ ye kis raah se ham āvāra
zulf-e-āvāra uḌā le ga.ī dil ko bhī 'salīm'
varna pahle vo javāñ-marg thā kam āvāra