Asghar Saleem

gulshan gulshan shola-e-gul ki zulf-e-saba ki baat chali

Asghar Saleem

gulshan gulshan shola-e-gul kī zulf-e-sabā kī baat chalī
harf-e-junūñ kī bañd-e-girāñ kī jurm-o-sazā kī baat chalī
zindāñ zindāñ shor-e-junūñ hai mausam-e-gul ke aane se
mahfil mahfil ab ke baras arbāb-e-vafā kī baat chalī
ahd-e-sitam hai dekheñ ham āshufta-saroñ pe kyā guzre
shahr meñ us ke band-e-qabā kī rañg-e-hinā kī baat chalī
ek huā dīvāna ik ne sar teshe se phoḌ liyā
kaise kaise log the jin se rasm-e-vafā kī baat chalī
Top Urdushayar.com