Asghar Saleem

ghubar sa hai sar-e-shaKH-sar kahte hain

Asghar Saleem

ġhubār sā hai sar-e-shāḳh-sār kahte haiñ
chalā hai qāfila-e-nau-bahār kahte haiñ
badal ga.ī haiñ jahāñ par vafā kī sab rasmeñ
ujaḌ ga.e haiñ diloñ ke dayār kahte haiñ
is ek baat se gulchīñ kā dil dhaḌaktā hai
ki ham sabā se hadīs-e-bahār kahte haiñ
ye hajv-e-mai to kisī maslahat se hai varna
faqīh-e-shahr bhī hai bāda-ḳhvār kahte haiñ
jise kabhī sar-e-mimbar na kah sakā vaa.iz
vo baat ahl-e-junūñ zer-e-dār kahte haiñ
'salīm' sāya-e-gul ho ki saḳhtī-e-zindāñ
junūñ hai sheva-e-mardān-e-kār kahte haiñ
Top Urdushayar.com