hañsnā āh-o-fuġhāñ se sīkhā hai
ye hunar bhī jahāñ se sīkhā hai
har ḳhushī se nazar churā lenā
ik ajab mehrbāñ se sīkhā hai
dauḌ se ḳhud ko yuuñ alag rakhnā
manzil-e-be-nishāñ se sīkhā hai
sab se kahnā ḳhushī ke aañsū haiñ
ye bharam āstāñ se sīkhā hai
aise ḳhud ko aziyyateñ denā
tū ne 'farruḳh' kahāñ se sīkhā hai