Sudarshan Faakhir

tum na ghabrao mere zaKHm-e-jigar ko dekh kar

Sudarshan Faakhir

Jalandhar, Punjab, India

1934-2008
tum na ghabrāo mire zaḳhm-e-jigar ko dekh kar
maiñ na mar jā.ūñ tumhārī chashm-e-tar ko dekh kar
zaḳhm taaza kar rahā huuñ chāragar ko dekh kar
rāsta maiñ ne badal Daalā ḳhizar ko dekh kar
zindagānī ik fareb-e-dā.imī hai sar-ba-sar
mujh pe ye zāhir huā shām-o-sahar ko dekh kar
garche un se koī ummīd-e-vafā mujh ko nahīñ
jī bahal jaatā hai phir bhī nāma-bar ko dekh kar
aaj insāñ se hai insāñ barsar-e-paikār yuuñ
al-amāñ shaitāñ paḌhe ḳhū-e-bashar ko dekh kar
aadmī meñ ādamiyat kā nishāñ baaqī nahīñ
bech Daalā is ne īmāñ sīm-o-zar ko dekh kar
āsmāñ tak to ham ai 'rif.at' rahe garm-e-ḳhirām
us se aage chal na paa.e rāhbar ko dekh kar
Top Urdushayar.com