agar ham kaheñ aur vo muskurā deñ
ham un ke liye zindagānī luTā deñ
har ik moḌ par ham ġhamoñ ko sazā deñ
chalo zindagī ko mohabbat banā deñ
agar ḳhud ko bhūle to kuchh bhī na bhūle
ki chāhat meñ un kī ḳhudā ko bhulā deñ
kabhī ġham kī āñdhī jinheñ chhū na paa.e
vafāoñ ke ham vo nasheman banā deñ
qayāmat ke dīvāne kahte haiñ ham se
chalo un ke chehre se parda haTā deñ
sazā deñ sila deñ banā deñ miTā deñ
magar vo koī faisla to sunā deñ