mere dukh kī koī davā na karo
mujh ko mujh se abhī judā na karo
nāḳhudā ko ḳhudā kahā hai to phir
Duub jaao ḳhudā ḳhudā na karo
ye sikhāyā hai dostī ne hameñ
dost ban kar kabhī vafā na karo
ishq hai ishq ye mazāq nahīñ
chand lamhoñ meñ faisla na karo
āshiqī ho ki bandagī 'fākir'
be-dilī se to ibtidā na karo