ye umr-e-sad-balā jo apne hī sar ga.ī hai
thoḌī guzār leñge thoḌā guzar ga.ī hai
yā muuñd liiñ haiñ āñkheñ yā muñd ga.iiñ haiñ āñkheñ
tujh par pas-e-tamāshā kyā kyā guzar ga.ī hai
mumkin nahīñ hai shāyad donoñ kā saath rahnā
terī ḳhabar jab aa.ī apnī ḳhabar ga.ī hai
shor-e-ḳhizāñ hai ghar meñ dīvār-o-bām-o-dar meñ
dar par savārī kal aa kar Thahar ga.ī hai
ma.alūm hī nahīñ hai kuchh farq hī nahīñ hai
ye din guzar gayā hai yā shab guzar ga.ī hai
har gul-badan ko taknā āñkhoñ se chuum rakhnā
dīvāngī hamārī had se guzar ga.ī hai