junūn-e-ishq kī āmādgī ne kuchh na diyā
yahāñ bhī ziist kī uftādgī ne kuchh na diyā
lahū kī mauj se bām-e-ḳhayāl raushan hai
damakte chāñd kī ustādgī ne kuchh na diyā
ye lab tumhāre nahīñ kar sake masīhā.ī
unheñ bhī vaqfa-e-vāmāñdgī ne kuchh na diyā
sameT laa.e the jitne bhī ḳhvāb the lekin
huzūr-e-dost bhī dīvāngī ne kuchh na diyā
maiñ dekhtī thī tire ḳhāl-o-ḳhad ko hairat se
magar ye kyā ki mirī sādgī ne kuchh na diyā
tumhārī jeb bhī ḳhālī tumhāre dil kī tarah
tumheñ bhī fursat-e-yak-bārgī ne kuchh na diyā
diye ke nuur meñ karte rahe safar saare
vo jin ko nisbat-e-sayyārgī ne kuchh na diyā
bhaTak rahe haiñ kisī ajnabī masāfat meñ
mah-o-nujūm ko āvārgī ne kuchh na diyā
vo log kaun haiñ jin ko ḳhudā nasīb huā
hameñ to dil tirī nazzārgī ne kuchh na diyā
ye aañkh aaj bhī dar par lagī huī hai 'sahar'
tamām umr kī bechārgī ne kuchh na diyā