Shaista Sahar

bagh mein kaliyon ka muskana gaya

Shaista Sahar

baaġh meñ kaliyoñ kā muskānā gayā
phuul par titlī kā mañDlānā gayā
be-hunar honā bhī goyā hai hunar
raaz ye tāḳhīr se jaanā gayā
mere dil meñ bhī tapāñ haiñ valvale
kyuuñ mujhe be aarzū maanā gayā
band-e-ġham se ham rihā na ho sake
rā.egāñ sab sab kā samjhānā gayā
haath maltā rah gayā shauq-e-junūñ
toḌ kar zanjīr-e-dil daanā gayā
ho chukī pāmāl qadr-e-bandagī
jab ise kār-e-ziyāñ jaanā gayā
āgahī kī mushkileñ nāguftanī
kyuuñ tujhe had se sivā jaanā gayā
kitne chehre rakhtā hai vo ek shaḳhs
kab 'sahar' tum se vo pahchānā gayā
Top Urdushayar.com