Shaista Sahar

ye sitare mujhe diwar nahin hone ke

Shaista Sahar

ye sitāre mujhe dīvār nahīñ hone ke
ḳhvāb se ham tire bedār nahīñ hone ke
maiñ ne palkoñ ko bichhāyā hai tire qadmoñ meñ
rāste ab tujhe dushvār nahīñ hone ke
chāhe tū jām-e-baqā dene kā va.ada kar le
ai masīhā tire bīmār nahīñ hone ke
dard-e-kaunain se labrez hoñ jin ke dāman
vo mire ġham ke ḳharīdār nahīñ hone ke
ek hī iiñT pe ham ne jo kiyā hai takiya
ham kabhī sāhab-e-dīvār nahīñ hone ke
chaa.e kī pyālī meñ tūfān uThāne vaalo
ye tamāshe sar-e-bāzār nahīñ hone ke
jaap kar le tū mohabbat ke hazāroñ lekin
tere dushman tire dildār nahīñ hone ke
jin ke sīnoñ meñ gaḌī kufr kī meḳheñ huuñ 'sahar'
vo kabhī diiñ ke vafādār nahīñ hone ke
Top Urdushayar.com