Shaista Sahar

gul nahin Khaar samajhte hain mujhe

Shaista Sahar

gul nahīñ ḳhaar samajhte haiñ mujhe
sab girāñ-bār samajhte haiñ mujhe
haiñ añdhere bhī gurezāñ mujh se
chashm-e-bedār samajhte haiñ mujhe
merī peshānī pe mehrāb nahīñ
vo gunahgār samajhte haiñ mujhe
daulat-e-dard merā sarmāya
kyuuñ vo nādār samajhte haiñ mujhe
duur baiThe haiñ mirī mahfil se
vaj.h-e-āzār samajhte haiñ mujhe
chāra-gar bhī haiñ gurezāñ mujh se
terā bīmār samajhte haiñ mujhe
kyā kahūñ un se ma.āl-e-ulfat
jo tirī haar samajhte haiñ mujhe
merī ġhurbat nahīñ khultī mujh par
log zardār samajhte haiñ mujhe
merā isbāt mohabbat hai mirī
aur vo inkār samajhte haiñ mujhe
maiñ nahīñ bazm se jaane vaalī
ahal-e-darbār samajhte haiñ mujhe
kab samajhnā vo mujhe chāhte haiñ
kār-e-dushvār samajhte haiñ mujhe
kyuuñ 'sahar' haal sunā.ūñ un ko
mere ġham-ḳhvār samajhte haiñ mujhe
Top Urdushayar.com