kab sunī tum ne rāgnī merī
guftanī hai ye ḳhāmushī merī
ek aahaT se jāgtī huuñ maiñ
ek dastak hai zindagī merī
abr-e-zulmat kise Darātā hai
aur phailegī chāñdnī merī
kaun Thahregā dekhnā ye hai
daur-e-mīnā yā tishnagī merī
aah aayā hī thā vo sapne meñ
daf.atan aañkh khul ga.ī merī
vaj.h-e-bechainī kyā batā.ūñ maiñ
chain terā hai be-kalī merī
tujh pe guzre na ālam-e-vahshat
tū na dekhe ye bebasī merī
is ne rakkhā jo sāmne sāġhar
baḌh ga.ī aur tishnagī merī
maiñ to saa.e se apne katrā.ūñ
dekh ḳhud se ye kaj-ravī merī
tum farozāñ ho ik sitāre se
mere andar hai raushnī merī
tujh ko dekhūñ yā kuchh nahīñ dekhūñ
terī ḳhvāhish hai dīdanī merī