Meer Ahmad Naved

aaine par jami hui hairat ko dekhna

Meer Ahmad Naved

1955
ā.īne par jamī huī hairat ko dekhnā
kyā baar baar ek hī sūrat ko dekhnā
hāsil ye hai ki ek hī hai sifr kā hisāb
manafī ko dekhnā kabhī musbat ko dekhnā
ai vaqt tū kahīñ bhī kisī kā huā hai kyā
kyā tujh ko dekhnā tirī saa.at ko dekhnā
dānishvarān-e-vaqt hoñ jab mahv-e-guftugū
chup rah ke darmiyāñ mirī vahshat ko dekhnā
pahle to kaam dekhnā merā varā-e-vaqt
phir kaam meñ dabī huī fursat ko dekhnā
Top Urdushayar.com