Vilas Pandit Musafir

ek samundar ke hawale sare KHat karta raha

Vilas Pandit Musafir

ik samundar ke havāle saare ḳhat kartā rahā
vo hamāre saath apne ġham ġhalat kartā rahā
kyā kisī badlāv se ye zindagī badlī kabhī
kyuuñ na.ī vo roz apnī shaḳhsiyyat kartā rahā
us kī tanhā.ī kā aalam dosto mat pūchhiye
ghar kī har dīvār se vo maslahat kartā rahā
thī ḳhabar ab apne haq meñ kuchh nahīñ baaqī rahā
jaan kar maiñ kāġhazoñ par dastaḳhat kartā rahā
haañ use shā.er zamāna kah rahā hai in dinoñ
jo divāna apne ġham kī tarbiyat kartā rahā
aaj samjhā Thokaroñ ke ba.ad bhī hai zindagī
kyuuñ atā mujh ko 'musāfir' ye sifat kartā rahā
Top Urdushayar.com