pesh-e-zamīñ rahūñ ki pas-e-āsmāñ rahūñ
rahtā huuñ apne saath maiñ chāhe jahāñ rahūñ
kaisā jahāñ kahāñ kā makāñ kaun lā-makāñ
ya.anī agar kahīñ na rahūñ to kahāñ rahūñ
ai ishq merā honā na honā hai mujh talak
ab maiñ nishān khīñchūñ ki maiñ be-nishāñ rahūñ
kyā DhūñDhtā rahūñ maiñ yūñhī dahr meñ sabāt
kyā marg-e-nā-gahāñ ke liye nā-gahāñ rahūñ
ḳhākistar-e-sitāra hai ā.inda-e-numū
behtar yahī hai maiñ kisī jānib ravāñ rahūñ