Rehana Qamar

mujhe wo kaifiyat apni batane kyun nahin aaya

Rehana Qamar

Pakistan

mujhe vo kaifiyat apnī batāne kyuuñ nahīñ aayā
tujhe ma.alūm to hogā zamāne kyuuñ nahīñ aayā
vo sūraj hai to phir us ke na aane kā sabab kyā hai
mire saa.e se milne ke bahāne kyuuñ nahīñ aayā
maiñ us ko khīñchtī hī rah ga.ī lekin na aayā vo
vo merā saañs thā aur saañs jaane kyuuñ nahīñ aayā
mirī ḳhālī kalā.ī kah rahī hai iid kī shab ko
vo ab tak chūḌiyāñ le kar na jaane kyuuñ nahīñ aayā
bahut da.avā thā us ko dil kī baazī jiit jaane kā
to phir is khel meñ mujh ko harāne kyuuñ nahīñ aayā
darīcha khol ke kab se sarāpā gosh baiThī huuñ
koī mausam tirī bāteñ sunāne kyoñ nahīñ aayā
vo kahtā thā ki us kī guftugū hai aa.ine jaisī
to phir chehra mirā mujh ko dikhāne kyuuñ nahīñ aayā
Top Urdushayar.com