Rehana Qamar

main is dil se nikal kar baam-o-dar taqsim karti hun

Rehana Qamar

Pakistan

maiñ is dil se nikal kar bām-o-dar taqsīm kartī huuñ
ki ḳhud be-ghar huuñ aur logoñ meñ ghar taqsīm kartī huuñ
nagar vāloñ meñ jab kotāh-dastī aam hotī hai
maiñ āñdhī kī tarah un meñ samar taqsīm kartī huuñ
havāoñ ke liye kuchh bhī bachā kar maiñ nahīñ rakhtī
ḳhizāñ-rut kī tarah puurā shajar taqsīm kartī huuñ
mire paas us ko dene ke liye itnī mohabbat hai
ki maiñ ḳhud bhī nahīñ bachtī agar taqsīm kartī huuñ
ajab maañ huuñ ki ḳhud to un se aage jā nahīñ saktī
magar maiñ apne bachchoñ meñ safar taqsīm kartī huuñ
isī ḳhātir purāne lafz mere paas aate haiñ
ki maiñ un meñ mohabbat kā asar taqsīm kartī huuñ
maiñ pas-andāz kar saktī nahīñ yādoñ kī daulat ko
agar bach jaa.e to bār-e-digar taqsīm kartī huuñ
sivā lā-hāsilī ke aur hāsil kuchh nahīñ hotā
maiñ jab bhī ḳhud ko us par ai 'qamar' taqsīm kartī huuñ
Top Urdushayar.com