ye chāñd jo bachchoñ kā khilaunā hai mirī dost
kho jā.egā is baat kā ronā hai mirī dost
ye zardī-e-ruḳhsār na miTTī meñ milegī
ye zardī-e-ruḳhsār to sonā hai mirī dost
chal baaġh meñ rote haiñ gulāboñ se lipaT kar
ghar meñ bhī to takiya hī bhigonā hai mirī dost
maujūd bhī aise huuñ ki maujūd nahīñ huuñ
sābit mire hone se na honā hai mirī dost
dhartī ne bhī sote meñ hameñ zaḳhm diye haiñ
ye sej bhī kāñToñ kā bichhaunā hai mirī dost
auroñ kī tarah mujh se bichhaḌ jā.egā vo bhī
honā hai kisī roz ye honā hai mirī dost