mohabbat se mukar jaanā zarūrī ho gayā thā
palaT ke apne ghar jaanā zarūrī ho gayā thā
nazar-andāz karne kī sazā denī thī tujh ko
tire dil meñ utar jaanā zarūrī ho gayā thā
maiñ sannāTe ke jañgal se bahut tañg aa ga.ī thī
kisī āvāz par jaanā zarūrī ho gayā thā
maiñ sassī kī tarah sotī rahī aur chal diye tum
batā dete agar jaanā zarūrī ho gayā thā
ta.āqub ḳhud na kartī to mire aañsū nikalte
maiñ kyā kartī 'qamar' jaanā zarūrī ho gayā thā