phal pheñk ke hamsā.e ke ghar tañg karegā
ik roz ye āñgan kā shajar tañg karegā
lagtā thā bichhaḌ ke maiñ bahā lūñgī do aañsū
ma.alūm na thā dīda-e-tar tañg karegā
hañs kar tujhe miltī huuñ to ye baat bhī sun le
maiñ ro bhī paḌūñgī to agar tañg karegā
ḳhush-fahmiyāñ tā-umr nahīñ saath nibhātīñ
ik roz tujhe husn-e-nazar tañg karegā
is vāste tanhā use jaane nahīñ detī
jugnū ko añdheroñ kā safar tañg karegā
kuchh roz use dekh ke yaad ā.eñgī chiḌiyāñ
kuchh roz ye TuuTā huā par tañg karegā
sab kahne kī bāteñ haiñ ye iḳhlās-o-muravvat
mat is pe yaqīñ kar vo 'qamar' tañg karegā