Rehana Qamar

mujhko Doli mein biTha Dar ke hawale kar de

Rehana Qamar

Pakistan

mujh ko Dolī meñ biThā Dar ke havāle kar de
merī maañ mujh ko muqaddar ke havāle kar de
ab ye ehsās ki duniyā meñ koī merā nahīñ
jaane kab mujh ko samundar ke havāle kar de
us qabīle se nahīñ maiñ ki jo apnī laḌkī
jañg ke ḳhauf se lashkar ke havāle kar de
ghūmne phirne kā haq rakhtī hai phir bhī titlī
kis liye ḳhud ko gul-e-tar ke havāle kar de
ḳhālī kamre meñ paḌe rahne se behtar hogā
ai 'qamar' ḳhud ko bhare ghar ke havāle kar de
Top Urdushayar.com