Rehana Qamar

main apni zat na apne makan mein rahti hun

Rehana Qamar

Pakistan

maiñ apnī zaat na apne makāñ meñ rahtī huuñ
dhueñ kā phuul huuñ ātish-fishāñ meñ rahtī huuñ
karam hai us kā jo detā hai shukr ke mauqe
karam hai us kā jo maiñ imtihāñ meñ rahtī huuñ
ye vasl bhī hai kisī aur justujū jaisā
kisī ke paas kisī ke gumāñ meñ rahtī huuñ
mirī bahār abhī lauT kar nahīñ aa.ī
maiñ ḳhushk peḌ huuñ aur gulsitāñ meñ rahtī huuñ
mire muāmle pe aise chup hue haiñ log
ye lag rahā hai ki maiñ raftagāñ meñ rahtī huuñ
mire qabīle ko aadat hai kār-o-kārī kī
maiñ is ke ḳhauf se dār-ul-amāñ meñ rahtī huuñ
'qamar' jo bigḌā huā hai mizāj dariyā kā
use patā hai maiñ kachche makāñ meñ rahtī huuñ
Top Urdushayar.com