Rehana Qamar

main jab bhi yaad ki shaMein jala ke rakhti hun

Rehana Qamar

Pakistan

maiñ jab bhī yaad kī sham.eñ jalā ke rakhtī huuñ
ye merī zid hai ki aage havā ke rakhtī huuñ
maiñ TuuT saktī huuñ lekin maiñ jhuk nahīñ saktī
shikast-e-zāt meñ pahlū anā ke rakhtī huuñ
vo bādbāñ hai agar kashtī-e-mohabbat kā
maiñ bādbān se rishte havā ke rakhtī huuñ
nahīñ hai ghar meñ tirī yaad ke alāva kuchh
to kis ke sāmne chaa.e banā ke rakhtī huuñ
tumhāre ḳhat haiñ mahakte gulāb ke mānind
vo aur khulte haiñ jitnā chhupā ke rakhtī huuñ
jo kahnā chāhtī huuñ vo to kah nahīñ paatī
zabāñ pe tazkire āb-o-havā ke rakhtī huuñ
maiñ jāntī huuñ ki aanā nahīñ kisī ne 'qamar'
magar muñDer pe sham.eñ jalā ke rakhtī huuñ
Top Urdushayar.com