Rehana Qamar

lafzon mein un ka naqsh-e-kaf-e-pa dikhai de

Rehana Qamar

Pakistan

lafzoñ meñ un kā naqsh-e-kaf-e-pā dikhā.ī de
na.at-e-nabī kahūñ to madīna dikhā.ī de
har dam ho jis ko rahmat-e-ālam tirā ḳhayāl
tūfān meñ bhī us ko jazīra dikhā.ī de
na.at-e-nabī ke saath maiñ paḌhtī rahūñ darūd
mujh ko yahī najāt kā rasta dikhā.ī de
de merī aañkh ko bhī basārat mire ḳhudā
jo shaḳhs un kā ho vahī un kā dikhā.ī de
saarī nahīñ ye husn-e-mohammad kī raushnī
sūraj to un kā naqsh-e-kaf-e-pā dikhā.ī de
dariyā pe chal ke jā.ūñgī arz-e-hijāz tak
mujh ko to pāniyoñ pe bhī rasta dikhā.ī de
phir vaqt ho gayā hai azān-e-bilāl kā
sahrā-e-zindagī mujhe sonā dikhā.e de
sochūñ tamām din dar-e-aqdas ko maiñ 'qamar'
aate hī niiñd gumbad-e-ḳhazrā dikhā.ī de
Top Urdushayar.com