Rehana Qamar

kabhi suraj hai kabhi zohra-jamalon jaisa

Rehana Qamar

Pakistan

kabhī sūraj hai kabhī zohra-jamāloñ jaisā
kyuuñ vo lagtā hai mujhe merī misāloñ jaisā
har tarah se vo bahut achchhā hai lekin us ko
dekhnā chāhtī huuñ apne ḳhayāloñ jaisā
chāhtī huuñ ki karūñ us se mohabbat khul kar
lekin anjām na ho chāhne vāloñ jaisā
kis tarah maan luuñ maiñ us kī nisābī bāteñ
us kā mauqif hai kitāboñ ke havāloñ jaisā
merī zid hai use hal kar ke rahūñgī maiñ bhī
vo jo lagtā hai riyāzī ke savāloñ jaisā
aaj ke din bhī ghaTā khul ke na barse shāyad
aaj kā din bhī hai vahshat meñ ġhazāloñ jaisā
ai mohabbat meñ mujhe chāñd sā kahne vaale
mujh 'qamar' ko na samajh merī misāloñ jaisā
Top Urdushayar.com