Rehana Qamar

fursat nahin hai mujhko mohabbat ke khel se

Rehana Qamar

Pakistan

fursat nahīñ hai mujh ko mohabbat ke khel se
maiñ kyuuñ laḌā.ī luuñ kisī pāgal chuḌail se
ye zulm bhī huā hai mohabbat ke naam par
bānu-e-shahr khīñchī ga.ī hai nakel se
us se bichhaḌ ke ḳhud ko sambhālā nahīñ gayā
lagtā hai gir paḌī huuñ kisī chaltī rail se
ab maiñ kahāñ visāl kā paudā lagā.uñgī
ye ghar to bhar gayā hai udāsī kī bel se
bachpan meñ chāñd bhī koī panchhī lagā mujhe
lagtā thā gir paḌegā ye merī ġhulail se
Top Urdushayar.com