sar-e-bazm-e-talab raqs-e-sharar hone se Dartī huuñ
ki maiñ ḳhud par mohabbat kī nazar hone se Dartī huuñ
bachānā chāhtī huuñ us ko sūraj kī tamāzat se
magar maiñ us ke raste kā shajar hone se Dartī huuñ
kabhī us ke ḳhayāloñ meñ nahīñ jaatī thī dariyā par
aur ab ye vaqt aayā hai ki ghar hone se Dartī huuñ
agar ye sach hai ḳhushbū aur mohabbat chhup nahīñ sakte
to kyuuñ apnī mohabbat kī ḳhabar hone se Dartī huuñ
maiñ apnī zaat meñ bhīge paroñ kā bojh huuñ shāyad
kisī be-bāl-o-par ke bāl-o-par hone se Dartī huuñ
mujhe dushman kā bhī dil toḌnā achchhā nahīñ lagtā
kisī kī bad-duāoñ kā asar hone se Dartī huuñ
bhalā tashbīh se rutba mirā kyuuñ kam kare koī
'qamar' huuñ is liye rashk-e-qamar hone se Dartī huuñ