Rehana Qamar

aziyyaton se nikalne ka mashwara deti

Rehana Qamar

Pakistan

aziyyatoñ se nikalne kā mashvara detī
maiñ us kī thī to nahīñ phir bhī hausla detī
kisī azaab se kam to nahīñ hai ḳhush rahnā
duā ke naam pe kyuuñ us ko bad-duā detī
chhupā bhī letī mire bhed ko agar bil-farz
havā kā kyā hai koī aur gul khilā detī
bajā ki sahl na thā us kā ham-safar honā
kam az kam us ko palaTne kā rāsta detī
jo mujh se ishq ke qisse sunātā phirtā thā
kahīñ vo miltā to maiñ us ko aa.ina detī
mire ḳhudā koī masraf to hotā ashkoñ kā
fasīl-e-shahr kī tahrīr hī miTā detī
ḳhudā gavāh ki sar se jhaTak ke dekh liyā
nahīñ thā bas meñ vagarna use bhulā detī
maiñ us kī ḳhaas ināyat se bach ga.ī huuñ 'qamar'
vagarna ḳhalq-e-ḳhudā to mujhe miTā detī
Top Urdushayar.com