Rehana Qamar

main bil-umum jo honTon ko band rakhti hun

Rehana Qamar

Pakistan

maiñ bil-umūm jo hoñToñ ko band rakhtī huuñ
muḳhālifat meñ bhī apnī pasand rakhtī huuñ
maiñ jāntī huuñ ki mujh se na ban paḌegā kuchh
yahī bahut hai dil-e-dard-mañd rakhtī huuñ
ye kam nahīñ ki julūs-e-jahāñ meñ rah kar bhī
kisī kī yaad kā parcham buland rakhtī huuñ
tire usūl-e-mohabbat se mujh ko shikva hai
magar maiñ ḳhud ko tirā kār-band rakhtī huuñ
agar ye āñdhiyāñ chaltī haiñ mere sar meñ 'qamar'
to kyuuñ maiñ ghar ke darīchoñ ko band rakhtī huuñ
Top Urdushayar.com