Anjum Abbasi

us but ko zara chhu ke to dekhen ki wo kya hai

Anjum Abbasi

Ratnagiri, Maharashtra, India

1942
us but ko zarā chhū ke to dekheñ ki vo kyā hai
patthar hai ki ik mom ke sāñche meñ Dhalā hai
us ne mujhe apnā kabhī samjhā nahīñ lekin
jis samt gayā huuñ vo mire saath rahā hai
jañgal hai darindoñ kā koī saath nahīñ hai
kis jurm kī pādāsh meñ ban-bās milā hai
tujh par bhī har ik samt se pathrāv huā hai
mujh par bhī har ik samt se pathrāv huā hai
mujh ko tirī āvāz kā saaya hī bahut hai
ye bahs hai be-kār ki tū mujh se judā hai
chehre jo haiñ kashkol haiñ ajsām khañDar haiñ
har shaḳhs yahāñ vaqt kā ā.īna banā hai
har haath meñ hai gyaan kī pustak magar 'anjum'
is daur kā insān bhī bū-jahl rahā hai
Top Urdushayar.com