Anjum Abbasi

zamane bhar ka jo fitna raha tha

Anjum Abbasi

Ratnagiri, Maharashtra, India

1942
zamāne bhar kā jo fitna rahā thā
vahī to gaañv kā mukhiyā banā thā
mirī shohrat ke parcham uḌ rah the
magar maiñ dhuup meñ tanhā khaḌā thā
hazāroñ raaz the poshīda mujh meñ
maiñ apne aap se chhup kar khaḌā thā
bahut se log us ko dekhte the
vo ūñche peḌ par baiThā huā thā
purānā thā madārī kā tamāshā
magar vo bhiiḌ thī rastā uḌā thā
fasādī the mire hī ghar meñ 'anjum'
maiñ un ko shahr bhar meñ DhūñDhtā thā
Top Urdushayar.com