mat samajhnā ki sirf tū hai yahāñ
ek se ek ḳhūb-rū hai yahāñ
pur hai bāzār-e-husn chehroñ se
jaane kis kis kī aabrū hai yahāñ
kaise ābād ho ye vīrāna
vahshat-e-kizb chār-sū hai yahāñ
aañkh kī putliyoñ ko ġhaur se dekh
terī tasvīr hū-ba-hū hai yahāñ
kaise tārīḳh likkhī jā.egī
sirf talvār aur gulū hai yahāñ
tū kahāñ hai ḳhabar nahīñ ai dost
raat din terī guftugū hai yahāñ
jhāñktā kaun hai girebāñ meñ
ā.īna kis ke rū-ba-rū hai yahāñ
maqtal-e-ārzū hai dil 'vājid'
har tamannā lahū lahū hai yahāñ