Meer Ahmad Naved

charagh-ha-e-takalluf bujha diye gae hain

Meer Ahmad Naved

1955
charāġh-hā-e-takalluf bujhā diye ga.e haiñ
uThāo jaam ki parde uThā diye ga.e haiñ
ab is ko diid kaheñ yā ise kaheñ dīdār
hamāre aage se jo ham haTā diye ga.e haiñ
ab is maqām pe hai ye junūñ ki hosh nahīñ
miTā diye ga.e haiñ yā banā diye ga.e haiñ
ye raaz marne se pahle to khul nahīñ saktā
sulā diye ga.e haiñ yā jagā diye ga.e haiñ
jo mil ga.e to tavañgar na mil sake to gadā
ham apnī zaat ke andar chhupā diye ga.e haiñ
charāġh-e-bazm haiñ ham rāz-dār-e-sohbat-e-bazm
bujhā diye ga.e haiñ yā jalā diye ga.e haiñ
Top Urdushayar.com