rañg jazbāt meñ bhar jaane ko jī chāhtā hai
kaam ik pyārā sā kar jaane ko jī chāhtā hai
dasht-e-tārīk to ik umr huī chhān liyā
ab to sūraj ke nagar jaane ko jī chāhtā hai
ruuh meñ ḳhvāhisheñ itnī haiñ ki jiinā chāhūñ
karb itnā hai ki mar jaane ko jī chāhtā hai
ḳhauf-e-ehsās-e-nadāmat ko miTāne ke liye
raat Dhal jaa.e to ghar jaane ko jī chāhtā hai
dard rag rag meñ kuchh is tarah utar jaatā hai
zindagī se bhī mukar jaane ko jī chāhtā hai
shāyad is tarah mile apnī haqīqat kā surāġh
aap apne meñ utar jaane ko jī chāhtā hai