uThā ke dar se sar-e-rah biThā diyā hai mujhe
mire savāl se pāgal banā diyā hai mujhe
kuchh is tarah se kahā mujh se baiThne ke liye
ki jaise bazm se us ne uThā diyā hai mujhe
na ḳhud hī chain se baiThe na mujh ko baiThne de
mire ḳhudā ne sitāra bhī kyā diyā hai mujhe
mirī samā.ī na sahrā meñ hai na ghar meñ hai
nayā ye muzhda-e-vahshat sunā diyā hai mujhe
maiñ apne hijr meñ thā mubtalā azal se magar
tire visāl ne mujh se milā diyā hai mujhe