koī batā.e ki ye rañg-e-dostī kyā hai
vo shaḳhs pūchh rahā hai ki dilbarī kyā hai
ga.e dinoñ ke tabassum kī raakh bikhrī hai
havā-e-shahr mire dil meñ DhūñDhtī kyā hai
fasīl-e-jism pe taanī hai karb kī chādar
ham ahl-e-dard se pūchho ki zindagī kyā hai
sitam kī lahr chalī aa mujhe gale se lagā
mire vajūd ke āñgan meñ sochtī kyā hai
vo dhaḌkanoñ ke talātum se āshnā hī nahīñ
use ḳhabar hī nahīñ hai ki shā.irī kyā hai
jo mah-vashoñ kī jabīnoñ se phūTtī hai 'niyāz'
parakh sako to parakh lo vo raushnī kyā hai