hamāre naam se un ko mohabbateñ kaisī
jo mar ga.e to kisī se shikāyateñ kaisī
ujaḌ ga.e haiñ havelī ke saare hañgāme
machā rakhī haiñ havā ne qayāmateñ kaisī
sarāpā pyaar haiñ ham to vafā-parast bhī haiñ
ham aise shaḳhs ke dil meñ kudūrateñ kaisī
kabhī tū ḳhud hī rutoñ kā mizāj badlegā
sitam ke zard dinoñ se baġhāvateñ kaisī
diloñ kā zahr umaDne lagā hai bātoñ meñ
har ek lafz se uryāñ haiñ nafrateñ kaisī
ḳhizāñ-rasīda daraḳhtoñ ke jism chhalnī haiñ
havā-e-shahr ne kī haiñ sharārteñ kaisī
ḳhud apne hoñT chabānā hī un kī aadat hai
hamāre dhyān ne dī haiñ halāvateñ kaisī
sadā-e-zarf to kānoñ meñ gūñjtī hī nahīñ
'niyāz' phir ye mohabbat meñ vahshateñ kaisī