Niyaz Husain Lakhwera

ruk ruk ke kabhi muD ke tujhe dekh raha hun

Niyaz Husain Lakhwera

1952
ruk ruk ke kabhī muḌ ke tujhe dekh rahā huuñ
maiñ terī judā.ī se bahut ḳhauf-zada huuñ
us shaḳhs se milne kī jasārat hī nahīñ kī
ḳhvāboñ ke darīche se jise jhāñk rahā huuñ
maiñ tundī-e-hālāt se ḳhā.if nahīñ hotā
ai ḳhāk-nashīno maiñ bagūloñ meñ palā huuñ
duurī kī koī lahr na le jaa.e bahā kar
chāhat ke samundar meñ safar kar to rahā huuñ
ik samt añdherā hai to ik samt kaḌī dhuup
hālāt ke ik aise dorāhe pe khaḌā huuñ
har samt na.e dukh ke samundar kī sadā hai
maiñ tark-e-ta.alluq ke jazīre pe khaḌā huuñ
tum qat-e-marāsim pe ho āmāda to kyā hai
ye zahr to ik umr se maiñ chaaT rahā huuñ
aa.egī mire jism se iḳhlās kī ḳhushbū
maiñ phuul huuñ aur pyaar kī Tahnī pe sajā huuñ
Top Urdushayar.com