ek to tujh se mirī zaat ko rusvā.ī milī
aur phir ye bhī sitam hai ki tū harjā.ī milī
muskurātā huuñ to hoñToñ pe jalan hotī hai
terī chāhat meñ mujhe karb kī yakjā.ī milī
phir kisī ḳhauf se jazboñ ke badan kaañp uThe
jab bhī un shabnamī āñkhoñ se pazīrā.ī milī
ek ye log ki sāthī bhī badal lete haiñ
ik mirā dil ki jise zaat kī tanhā.ī milī
jis ne dil vāloñ kī bastī meñ rihā.ish rakkhī
us siyah-baḳht ko barsoñ kī shakebā.ī milī
zāhiran sab hī liye phirte haiñ raushan āñkheñ
varna kitne hī jinheñ ruuh kī bīnā.ī milī
us kī āñkhoñ meñ mirā naam farozāñ thā 'niyāz'
jis ke chehre pe mujhe apnī shanāsā.ī milī