Niyaz Husain Lakhwera

agar kisi ne badan ka sukun paya hai

Niyaz Husain Lakhwera

1952
agar kisī ne badan kā sukūn paayā hai
vo shaḳhs ruuh kī tārīkiyoñ meñ uljhā hai
ḳhayāl hai koī merī talāsh meñ hī na ho
tilsim-e-shab kisī āvāz-e-pā se TuuTā hai
ye kis kī chaap dar-e-dil pe roz suntā huuñ
ye kis kā dhyān mujhe rāt-bhar satātā hai
kuchh is tarah se muqayyad huuñ apnī hastī meñ
ki jaise maiñ huuñ faqat maiñ huuñ aur duniyā hai
tumhāre ġham meñ koī aañkh nam nahīñ hogī
havā ke karb kā ehsās kis ko hotā hai
ye kaun zehn meñ chupke se roz aa ke 'niyāz'
sukūn-e-qalb-o-nazar pā.emāl kartā hai
Top Urdushayar.com