saada hai garche lauh-e-basārat bahāl rakh
shor-e-qalam bahut hai samā.at bahāl rakh
zaḳhm-e-talāsh meñ hai nihāñ marham-e-dalīl
tū apnā dil na haar mohabbat bahāl rakh
nazzāra be-nazāra huā hai to kyā huā
hairat kī taab diid kī hasrat bahāl rakh
bas meñ to ḳhair kuchh bhī nahīñ hai tire magar
bachnā hai yāsiyat se to vahshat bahāl rakh
mastī o hosh o jazb o jalāl o junūn o ishq
ai mere yaar koī to shiddat bahāl rakh