Niyaz Husain Lakhwera

aaina pyar ka ek aks tera mange hai

Niyaz Husain Lakhwera

1952
aa.ina pyaar kā ik aks tirā māñge hai
dil bhare shahr meñ bas terī sadā māñge hai
jism ḳhud-sar hai ki har dard sahe jaatā hai
aisā ziddī hai ki jiine kī sazā māñge hai
raat Dhal jaa.e to hāthoñ kī lakīreñ jāgeñ
be-sukūñ zehn hamesha ye duā māñge hai
ḳhush badan ho to zarā ḳhud ko bachā kar rakkho
mausam-e-zard koī peḌ harā māñge hai
maiñ hī ḳhud ko kisī maqtal meñ sajā kar rakh duuñ
tez āñdhī koī nanhā sā diyā māñge hai
kaun hai jo ki sarāboñ se ulajhnā chāhe
kaun hai jo ki mire ghar kā pata māñge hai
parvarish jis meñ gul-e-tāza kī hotī hai 'niyāz'
pyaar kā phuul vahī āb-o-havā māñge hai
Top Urdushayar.com