ik vo bhī din the tujh se mirā rābta na thā
sanjīdgī se tere liye sochtā na thā
nafrat milī to zom-e-vafā TuuT TuuT kar
bikhrā kuchh is tarah ki koī vāsta na thā
kamre meñ phailtī hī ga.ī raushnī kī lahr
kirnoñ kā jaal thā ki kahīñ TūTtā na thā
dekhā tujhe to chāñd bhī peḌoñ meñ chhup gayā
vaise to shahr bhar meñ koī chāñd sā na thā
vo apnī zaat meñ hī muqayyad rahā 'niyāz'
sab dekhte the us ko koī DhūñDhtā na thā