koī aaseb hai saaya hai ki jādūgar hai
jaane kyā baat hai har shaḳhs ke dil meñ Dar hai
ek hī rele meñ bah jā.egī ḳhasta buniyād
sail-e-be-mehr ke shānoñ pe hamārā ghar hai
tere dil meñ bhī mohabbat kī harārat na rahī
merā sarmāya-e-ehsās bhī muTThī-bhar hai
sāneha hai ki hameñ luuTā gayā hai phir bhī
shahr luT jaane kā ilzām hamāre sar hai
jism ujḌī huī bastī kā khañDar lagtā hai
ruuh vīrān jazīroñ kī tarah banjar hai
mujhe dhaḌkā hai to bas TuuT ke gir jaane kā
soch kā koh-e-garāñ-bār mire sar par hai
jism andar se har ik lamha chaTaḳhtā hai 'niyāz'
yuuñ to qabroñ kī sī ḳhāmoshī mire bāhar hai