Niyaz Husain Lakhwera

wo ek shaKHs ki jo aaftab jaisa hai

Niyaz Husain Lakhwera

1952
vo ek shaḳhs ki jo āftāb jaisā hai
qarīb aa.e to taaza gulāb jaisā hai
ḳhudā kare ki kabhī bhī na TūTne paa.e
ye terā merā milan ek ḳhvāb jaisā hai
zarā bhī tez havā ho to kaañp uThtā hai
vo ḳhush-jamāl to shāḳh-e-gulāb jaisā hai
kuchh aise lagtā hai jaise guzar ga.iiñ sadiyāñ
tirī judā.ī kā mausam azaab jaisā hai
samay ke tez bagūloñ kī zad meñ Thahrā huuñ
mire vajūd kā dariyā habāb jaisā hai
tirī jabīñ pe ibārat hai dīn-e-ishq 'niyāz'
tirā vajūd muqaddas kitāb jaisā hai
Top Urdushayar.com